So guys agar aap plan kar rahe hai goa ghumne jane ka to in baton ka bhut khyal rakhna hoga apko.. because goa pehle jesa nhi raha ab.. goa ab ek bhut costly or scam vala shehar ho gaya hai, goa ki flight tickets , hotels, vehicle rentals bhut jyada costly ho gaye hai..
Aap goa me hai to inn batton ka khyal rakhein
Traffic police se bache , because goa ki traffic police sirf mauka hi dhundte hai ki bas tourist kuch bhi galti kare or unka challan kaat le, har jageh pe goa me no entry and u-turn ka board itna chota hai ki kisi bhi tourist ko dikhta hi nhi hai, or police vale vhi khade hote hai unhe pata hai ki kisi ko board nhi dikhne vala….
Watersport activities vale bhi bhut sare fraud hai goa me so be carefull..vo log bolte kuch or hai karte kuch or hai.
Spa mein jane ki galti bilkul na kare, road pe khade hue,bike pe ghumte hue dalal /touts k chakar mein na fase,kisi ko bhi advance na kare.
Local logo se na bhide, goa mein local log bhi ache nahi hai, goa k log sirf maukha dhundte hai ki tourist ko kese pareshan kare jabki unko pata hai ki unki kamai tourist se hi hai fir bhi tourist logo ko pareshan karte hai…