Ek ese person ki kahani hai jo ki very down to earth hai . .sab pareshan hai ki ye esa kyu hai…kisi ko kuch nhi bola na kisi pe gussa hota hai…na use kisi baat ka koi ghamand hai..
vo admi roj apne villa k ek room me jata hai ander se room band karta hai thode der rukta hai or fir bahar ata hai….us room me uske alava kisi or ko jane ki permission nhi hote..
sab hamesha souchte rehte hai ki esa kya hai us room me…..us room ki chabi sirf usi k pass hoti hai…..uski poore life me koi nhi jaan pata ki esa kya hai us room me….
fr ek ek din us admi ki death ho jate hai……uske kriyakaram hone k baad vo room khulta hai..
sab bolte hai zaroor us room me khazana hoga tabhi kisi ko aane nhi diya ander…..
andeer uska beta jata hai to dekhta hai…us room me na plaster hai na paint hai na tiles hai na flooring h…
ek kone me ek baksa rakha hota hai bas…
us bakse me us admi k phate purane kapde hai… phate hue shoes hai…sath me ek 6 feet ka mattresses hai…side me ek letter rakha hua hai ek diary me….yehe dekh k sab chale jate hai ki yaha to kuch nhi hai ye sab to kachra hai…..but us admi ka beta rukta hai or vo letter padta hai….
tum sab hamesha janna chahte the ki mujhme itna sabar kyu hai,me choti baat pe gussa nhi hota, kyu me itna kamayab hu….kyuki me apne beeta kal or us se jude hui seekh kabhi nhi bhoola..ye phate kapde or phate hue shoes hamesha mujhe yaad dilate hai ki me kaha se aya hu…mere sath jisne bura kiya mujhe waisa nhi banna…or mehnat karni hai taki me phir se kahi inhe kapdo me na ajau..aur me roz aapne iss kamre me akar souchta hu ki jis cheez k liye aaj pareshan hu..kya vo kal mere marne k baad mujhe koi fayada dege…me apni ane vali maut ko har roz yaad karta hu…kyuki vo mujhe humble hona..simple hona..sikhati hai or mujhe ye yaad dilate hai ki marne k baad me uper vale ko kya muh dikhaunga…
beta khat padkar rone lagta hai or kehta hai…ye to sachmuch khazana hai papa…
or vo rote rote room se bahar chala jata hai….