Tv industry ka Sach Or juth
Dosto vese to hum sabhi ko tv pe saas ,bahu k shows dekhne ki adat hai…but iss k piche ki kahani shayad bhut kam hi log jante hai ki kese ek tv show ready hota hai…
Tv shows 2 tareh k hote hai fiction or non-fiction.
Fiction shows vo hai ki jisme kahani hote hai …..family ki drama hota hai saas bahu ka ya kisi bhi tareh ka natak, tv shows ki category me ata….vahi dusri or Non-fiction shows hote hai..jisme ki ek poora show design kiya jata hai jese ki dance show, singing show, laughter show etc.
FICTION SHOWS
Aaj kal tv shows ki casting ka process poori tareh se change ho gaya hai….pehle k time pe director or producers hi casting karte the…par aaj k time pe ek casting director Rakha jata hai jo ki…poore show ki casting karta hai or vo aajkal apko ko kaam apka talent dekh kar nhi dete ……balki ….agar ap unko apni kamai me se kuch percentage commission dene ko teyar hai to vo apko kaam denge, nhi to kisi or ko kaam de denge…….iss tareh se koi agar ladki hai jo ki casting director k sath sone ko teyar hai to use kaam milega nhi to kaam nhi milega.
NON-FICTION SHOWS
Iss tare k show me bhi aajkal talent manager Rakha jata hai jo ki apko tabhi mauka denge, aage jane ka jab apse unko kuch fayada hai…jese ki recently ek singing show me ek relative ka beta select ho gay tha ..jab Mumbai audition round me pahuche to use audition dene se pehle hi pata chal chuka tha ki vo kitna bhi acha gaana ga lega par uska selection nahi hone vala….kyuki selection sirf unhi bacho ka hone vala hai jo ki 10 lakh rupee denge…sirf vahi mega 18 wale audition k liye select honge….so iss tareh k dalal log hamari tv industry ka hissa hai….
Isliye dosto me ap sabhi ko kehna chahunga ki…be carefull…think before taking any step in your life.